ajib saneha guzra hai in gharon pe koi ki chaunkta hi nahin ab to dastakon pe koi ujad shahar ke raste jo ab sunate hain yaqin karta hai kab un kahaniyon pe koi hai baat dur ki manzil ka sochna ab tu ki rasta khulta nahin hai musafiron pe koi wo khauf hai ki badan pattharon mein dhalne lage ajab ghadi ki dua bhi nahin labon pe koi hawa bhi tez na thi jab parinda aa ke gira nahin tha zakhm bhi 'jawed' in paron pe koi