akasr meri zamin ne mere imtihan liye

akasr meri zamin ne mere imtihan liye
zinda hun apne sar pe kai aasman liye

bechaargi kabhi mujhe sabit na kar saki
kya kya meri hayat ne mere bayan liye

apni sadaqaton se bhi lagne laga hai dar
chalna hai is zamin pe sarab-e-guman liye

aur main ki apni zat se nisbat nahin meri
har shakhs phir raha hai meri dastan liye

mangi nahin hai main ne kisi aasman se dhup
zinda hun apne hathon mein apna jahan liye

sara qusur jaise meri bebasi ka tha
ilzam apne sar pe kisi ne kahan liye

unwan iztirab kiye kitne fasle
tum ne qadam qadam pe mere imtihan liye

pahna unhen to main bhi dhanak-posh ho gai
apna samajh ke main ne tumhaare nishan liye

'usha' tamam umr kati intizar mein
aaya na koi ghar mein dil-e-mehrban liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close