aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin

aks kis chiz ka aaina-e-hairat mein nahin
teri surat mein hai kya jo meri surat mein nahin

donon aalam teri nairang adai ke nisar
ab koi chiz yahan jeb-e-mohabbat mein nahin

daulat-e-qurb ko khasan-e-mohabbat jaanen
chand ashkon ke siwa kuchh meri qismat mein nahin

log marte bhi hain jite bhi hain betab bhi hain
kaun sa sehr teri chashm-e-inayat mein nahin

sab se ek tarz juda sab se ek aahang juda
rang mahfil mein tera jo hai wo khalwat mein nahin

nashsha-e-ishq mein har chiz udi jati hai
kaun zarra hai ki sarshaar mohabbat mein nahin

dawa-e-did ghalat dawa-e-irfan bhi ghalat
kuchh tajalli ke siwa chashm-e-basirat mein nahin

ho gai jama mata-e-gham-e-hirman kyunkar
main samajhta tha koi parda-e-ghaflat mein nahin

zarre zarre mein kiya josh-e-tarannum paida
khud magar koi nawa saz-e-mohabbat mein nahin

najd ki samt se ye shor-e-ana-laila kyun
shokhi-e-husn agar parda-e-wahshat mein nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close