amir lakh idhar se udhar zamana hua

amir lakh idhar se udhar zamana hua
wo but wafa pe na aaya main be-wafa na hua

sar-e-niyaz ko tera hi aastana hua
sharab-khana hua ya qimar-khana hua

hua farogh jo mujh ko gham-e-zamana hua
pada jo dagh jigar mein charagh-e-khana hua

ummid ja ke nahin us gali se aane ki
ba-rang-e-umr mera nama-bar rawana hua

hazar shukr na zae hui meri kheti
ki barq o sail mein taqsim dana dana hua

qadam huzur ke aae mere nasib khule
jawab-e-qasr-e-sulaiman gharib-khana hua

tere jamal ne zohra ko daur dikhlaya
tere jalal se mirrikh ka zamana hua

koi gaya dar-e-jaanan pe hum hue pamal
hamara sar na hua sang-e-astana hua

farogh-e-dil ka sabab ho gai bujhi jo hawas
sharar-e-kushta se raushan charagh-e-khana hua

jab aai josh pe mere karim ki rahmat
gira jo aankh se aansu dur-e-yagana hua

hasad se zahr tan-e-asman mein phail gaya
jo apni kisht mein sarsabz koi dana hua

chune mahinon hi tinke gharib bulbul ne
magar nasib na do roz aashiyana hua

khayal-e-zulf mein chhai ye tirgi shab-e-hijr
ki khal-e-chehra-e-zakhmi charagh-e-khana hua

ye josh-e-girya hua mere said hone par
ki chashm-e-dam ke aansu se sabz dana hua

na puchh naz-o-niyaz us ke mere kab se hain
ye husn o ishq to ab hai use zamana hua

uthae sadme pe sadme to aabru pai
amir tut ke dil gauhar-e-yagana hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close