amn-qariyon ki shafaq-fam sunahri chiDiyan

amn-qariyon ki shafaq-fam sunahri chidiyan
mere kheton mein udin sham sunahri chidiyan
nariyan dil ke mazafat mein utrin aa kar
hu-ba-hu jaise sar-e-baam sunahri chidiyan
mere uslub mein kahti hain fasane gul ke
chuhlen karti hain mere nam sunahri chidiyan
kachchi umron ke shariron ko salami meri
jin ke atraf bunen dam sunahri chidiyan
gul khilati hai usi shakhs ki sanson ki mahak
jis ke gawon mein bahut aam sunahri chidiyan
This is a great family shayari in hindi. Please share if you liked this!!!