andhe adam wajud ke girdab se nikal ye zindagi bhi khwab hai tu khwab se nikal suraj se apne bichhdi hui ek kiran hai tu tera nasib jism ke barfab se nikal tu mitti pani aag hawa mein hai qaid kyun hone ka de jawaz tab-o-tab se nikal phulon mein chand taron mein suraj mein us ko dekh in pattharon ke mimbar o mehrab se nikal murjha na jae dekh kahin ruh ka gulab fani jahan ki wadi-e-shadab se nikal ban ke jazira ubhrega kirdar khud tera khush-rang khwahishon ke tu sailab se nikal kahti hain mujh se soch samundar ki wusaten 'arif' tu apni zat ke talab se nikal