andheri shab hai zarurat nahin batane ki

andheri shab hai zarurat nahin batane ki
meri taraf se ijazat hai laut jaane ki

koi to ho jo mizaj-e-ashna-e-dilbar ho
kisi ke pas to chabi ho is khazane ki

wo chahta to mujhe sang-dil bana deta
zyaadti mere dil par mere khuda ne ki

main dusron ke gharon ko bacha raha hun magar
kisi ko fikr nahin mera ghar bachane ki

main apne aap se munkir hua to tut gaya
ye dushmani mere andar ki intiha ne ki

jise harif samajh kar kiya hai qatl 'niyaz'
wo aabru tha usi be-nawa gharane ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close