anokha kuchh kahan aisa hua hai tamasha sab mera dekha hua hai khushi ko ham-nashin apna bana kar nishan-e-gham bahut gahra hua hai hansi kyun be-tahasha aai us ko zamana kis liye sanka hua hai nai shadab qurbat ki faza mein bahut makhmur sa lahja hua hai sarapa dekh kar dilkash kisi ka har ek manzar wahan thahra hua hai kabhi mansub rahat se tha dariya bada be-dard wo sahra hua hai tapish mein ishq ki bechain sa tha kaleja ro ke ab thanda hua hai saja kar bazm 'jafar' aarzu ki akela der se baitha hua hai