apna apna rang dikhlati hain jaani chudiyan aasmani arghawani zafrani chudiyan ek zara rang-e-nazakat bhi rahi madd-e-nazar dhan-pan ai jaan tum ho pahno dhani chudiyan dagh kha kha kar hazaron dil lahu ho ho gae kal khuli pahnin jo tum ne arghawani chudiyan hath khinche kyun na aaraish se wo nazuk badan said-e-nazuk pe karti hain girani chudiyan aashiqon ke zakhm ro ro kar lahu hans hans paden mehndi malti ho to pahno zafrani chudiyan rang mehndi ka teri dast-e-nigaran mein nahin kar rahi hain ai pari aatish-fishani chudiyan dekhne wale tumhaare dil bachaen kis tarah aafat-e-jaan tum bala-e-nagahani chudiyan mere matam mein utarin aa ke meri qabr par de gai yun mujh ko wo apni nishani chudiyan chaar din aaraishon se hath uthana chahiye sog mein aashiq ke lazim hain badhani chudiyan id ko hai nazninon sehat-e-'nazim' ka jashn hon nai aaraishen utren purani chudiyan
This is a great tere chudiyan shayari. True lovers of nazakat bhari shayari will love this. Please share if you liked this!!!