apne kandhe pe jo har bojh uTha sakta hai

apne kandhe pe jo har bojh utha sakta hai
wo zamin-zad falak apna bana sakta hai

teri qurbat mein ye pardes se aaya hua shakhs
chhod kar tujh ko kahin aur bhi ja sakta hai

jis ki qismat mein ho sahil pe pahunchna us ko
ek tinke ka sahaara bhi bacha sakta hai

main darakhton pe koi nam nahin likh sakta
jo hawa ki tarah aaya hai wo ja sakta hai

main khilaune ki tarah dekh raha hun 'maqbul'
todne wala mujhe kitna bana sakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close