apne lail-o-nahaar ki baaten jabr ki ikhtiyar ki baaten har taraf kab se ho rahi hain yahan gardish-e-rozgar ki baaten chaar-su yan pe maujzan hain sarab zist ke regzar ki baaten ek zamana guzar gaya yunhi hum hain aur dasht-e-khar ki baaten is kadi dhup mein mazahib mein shajar-e-saya-dar ki baaten hai zamin sakht aasman chup hai wah re parwardigar ki baaten jis ki ek bhi jhalak na dekhi kabhi kya hon us parda-dar ki baaten mat karo be-hisar ki baaten mat karo be-kanar ki baaten ye jo pyari zamin mili hai tumhein bas karo is dayar ki baaten gar karo apne dil ki baat karo han isi sogwar ki baaten