apne sine ko mere zaKHmon se bharne wali

apne sine ko mere zakhmon se bharne wali
tu kahan kho gai khushbu si bikharne wali

main to ho jaunga ru-posh tah-e-khak magar
ek khwahish hai mere dil mein na marne wali

aanhken viran hain honton pe sulagte hain sarab
tah-nashin ho gai har mauj ubharne wali

ek sakun pa gaya ja kar tah-e-dariya patthar
ab bala koi nahin sar se guzarne wali

nind aati hai to ek khauf sa lagta hai mujhe
jaise ek lash pe ho chil utarne wali

dhal gae sang mein is tarah 'mujibi' jazbaat
ab shikan bhi nahin mathe pe ubharne wali


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close