apni aankhon ko kabhi Thik se dhoya hi nahin

apni aankhon ko kabhi thik se dhoya hi nahin
sach kahun aaj talak khul ke main roya hi nahin

mere lafzon se mera dard jhalak jata hai
jabki is dard ko aawaz mein boya hi nahin

ek dafa nind mein khwabon ka janaza dekha
baad us ke main kabhi chain se soya hi nahin

tang galiyon mein mohabbat ki bhatakte hain sab
main ne koshish to kai bar ki khoya hi nahin

sans ruk jae tadapte hue yaadon mein kahin
hijr ka bojh kabhi dil pe yun dhoya hi nahin

main kahani mein naya mod bhi la sakta tha
main ne kirdar ko aansu mein bhigoya hi nahin

apne rishte ka bhi ab 'mit' bikharna tai tha
hum ne wishwas ke dhage mein piroya hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close