apni hasti ko yahan be-muddaa samjha tha main

apni hasti ko yahan be-muddaa samjha tha main
kya samajhna chahiye tha aur kya samjha tha main

tum ko apne dard-e-dil ki gar dawa samjha tha main
kya ghalat samjha tha main bilkul baja samjha tha main

kis ghalat-fahmi mein apni umr sari kat gai
ek wafa-na-ashna ko ba-wafa samjha tha main

kuchh na puchho rah-e-ulfat mein meri wamandgi
kakul-e-pechida ko zanjir-e-pa samjha tha main

us ka har har ghunt tha zahr-e-halahal se siwa
zindagi ko chashma-e-ab-e-baqa samjha tha main

sach hai 'najmi' ishq azin bisyar kardast-o-kunad
sar ka dena ek aain-e-wafa samjha tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close