apni hasti mita ke kya hoga us ko apna bana ke kya hoga jin ke chehre pe hain kai chehre un ko shisha dikha ke kya hoga apne haq ke liye lado khul kar yun hi aansu baha ke kya hoga jab hain pardes mein sajan to phir hath mehndi racha ke kya hoga be-wafaon ko haal-e-dil apna chhodiye bhi suna ke kya hoga un ko khud par bhi jab yaqin nahin mera sar bhi kata ke kya hoga jo kabhi hum ko puchhta hi nahin us ki mahfil mein ja ke kya hoga khidkiyan zehn ki nahin kholin sirf shamen jala ke kya hoga apne aamal par nazar rakhiye aib un ke gina ke kya hoga tu jo duniya mein ban raha hai khuda samne phir khuda ke kya hoga ye khabar aai tum na aaoge phir to ye ghar saja ke kya hoga zikr se jin ke dhadkanen badh jaen un se nazren mila ke kya hoga jab tere pyar pe yaqin hai hamein phir hamein aazma ke kya hoga zindagi mein agar sukun na ho phir ye daulat kama ke kya hoga jo hain baune rahenge baune hi un ko sar par bitha ke kya hoga