apni misal aap hai wo be-misal hai ye dekhna hai kaun mera ham-khayal hai har qahqahe mein dard ke sagar hain tah-nashin diwana dekhne mein to aasuda haal hai kab sabza-e-nishat hai aasuda-e-nazar har samt surkh surkh salibon ka jal hai patthar ba-dast milta hai har shakhs shahr mein aaina ban gae hain to bachna muhaal hai barbaadi-e-hayat pe 'mahwar' hun khush bahut barbaadiyon ka meri unhen bhi khayal hai