apni tanhai mere nam pe aabaad kare

apni tanhai mere nam pe aabaad kare
kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare

dil ajab shahr ki jis par bhi khula dar is ka
wo musafir ise har samt se barbaad kare

apne qatil ki zehanat se pareshan hun main
roz ek maut nae tarz ki ijad kare

itna hairan ho meri be-talabi ke aage
wa qafas mein koi dar khud mera sayyaad kare

salb-e-binai ke ahkaam mile hain jo kabhi
raushni chhune ki khwahish koi shab-zad kare

soch rakhna bhi jaraem mein hai shamil ab to
wahi masum hai har baat pe jo sad kare

jab lahu bol pade us ke gawahon ke khilaf
qazi-e-shahr kuchh is bab mein irshad kare

us ki mutthi mein bahut roz raha mera wajud
mere sahir se kaho ab mujhe aazad kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close