apni taswir ko aankhon se lagata kya hai ek nazar meri taraf bhi tera jata kya hai meri ruswai mein wo bhi hain barabar ke sharik mere qisse mere yaron ko sunata kya hai pas rah kar bhi na pahchan saka tu mujh ko dur se dekh ke ab hath hilata kya hai zehn ke pardon pe manzil ke hayule na bana ghaur se dekhta ja rah mein aata kya hai zakhm-e-dil jurm nahin tod bhi de mohr-e-sukut jo tujhe jaante hain un se chhupata kya hai safar-e-shauq mein kyun kanpte hain panw tere aankh rakhta hai to phir aankh churaata kya hai umr bhar apne gareban se ulajhne wale tu mujhe mere hi sae se daraata kya hai chandni dekh ke chehre ko chhupane wale dhup mein baith ke ab baal sukhata kya hai mar gae pyas ke mare to utha abr-e-karam bujh gai bazm to ab shama jalata kya hai main tera kuchh bhi nahin hun magar itna to bata dekh kar mujh ko tere zehn mein aata kya hai tera ehsas zara sa teri hasti payab to samundar ki tarah shor machata kya hai tujh mein kas-bal hai to duniya ko baha kar le ja chae ki pyali mein tufan uthata kya hai teri aawaz ka jadu na chalega un par jagne walon ko 'shahzad' jagata kya hai
Please share if you liked this!!!