apni yakjai mein bhi KHud se juda rahta hun

apni yakjai mein bhi khud se juda rahta hun
ghar mein bikhri hui chizon ki tarah rahta hun

subh ki sair ki karta hun tamanna shab bhar
din nikalta hai to bistar mein pada rahta hun

din o duniya se nahin hai koi jhagda mera
yani main in se alag apni jagah rahta hun

khwahish-e-dad nahin aur koi fariyaad nahin
ek sahra hai jahan naghma-sara rahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close