aqab se war tha aakhir main aah kya karta kisi bhi aad mein le kar panah kya karta gharib-e-shahr tha aankhon mein thi ana zinda saza-e-maut na deta to shah kya karta mere khulus ko jo sikka-e-gharaz samjha main aise shakhs se aakhir nibah kya karta yun us ke afw ka daman bhi dagh-dar na ho yahi khayal tha qasd-e-gunah kya karta ye tar tar shab-o-roz reza reza hayat main apne haal par aakhir nigah kya karta jo zindagi se na pae najat ki rahen 'shakil' us ko zamana tabah kya karta