arz-e-naz-e-shokhi-e-dandan barae-khanda hai dawa-e-jamiyat-e-ahbab ja-e-khanda hai hai adam mein ghuncha mahw-e-ibrat-e-anjam-e-gul yak-jahan zanu tammul dar-qafa-e-khanda hai kulfat-e-afsurdagi ko aish-e-betabi haram warna dandan dar dil afshurdan bina-e-khanda hai shorish-e-baatin ke hain ahbab munkir warna yan dil muhit-e-girya o lab aashna-e-khanda hai khud-faroshi-ha-e-hasti bas-ki ja-e-khanda hai har shikast-e-qimat-e-dil mein sada-e-khanda hai naqsh-e-ibrat dar nazar ya naqd-e-ishrat dar bisat do-jahan wusat ba-qadr-e-yak-faza-e-khanda hai ja-e-istihza hai ishrat-koshi-e-hasti 'asad' subh o shabnam fursat-e-nashw-o-numa-e-khanda hai