asar aisa hai tap-e-gham mein dawa ka ulTa

asar aisa hai tap-e-gham mein dawa ka ulta
nabz dekhe to ho bimar masiha ulta

ham-sari ki qad-e-mauzun o rukh-e-raushan se
chor ki tarah diya shama ko latka ulta

subh ko chehra-e-khurshid kiran se nikla
sar se us mah ne jo maqis ka sehra ulta

khafaqan-e-gham-e-furqat se dil aisa ulta
munh ke bahar nikal aaya jo kaleja ulta

hasrat-e-did mein aakhir ko dam apna ulta
parda-e-chashm na us shokh ne apna ulta

naz o andaz ne diwana banaya dil ko
us pari ne jo dam-e-raqs dupatta ulta

main to karta nahin ai 'arsh' gila furqat ka
shikwa-e-bakht wo kaj-baz hai karta ulta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close