asar kare na kare sun to le meri fariyaad nahin hai dad ka talib ye banda-e-azad ye musht-e-khak ye sarsar ye wusat-e-aflak karam hai ya ki sitam teri lazzat-e-ijad thahar saka na hawa-e-chaman mein khema-e-gul yahi hai fasl-e-bahaari yahi hai baad-e-murad qusur-war gharib-ud-dayar hun lekin tera kharaba farishte na kar sake aabaad meri jafa-talabi ko duaen deta hai wo dasht-e-sada wo tera jahan-e-be-buniyaad khatar-pasand tabiat ko sazgar nahin wo gulsitan ki jahan ghat mein na ho sayyaad maqam-e-shauq tere qudsiyon ke bas ka nahin unhin ka kaam hai ye jin ke hausle hain ziyaad