ashk aankhon mein dar se la na sake dil ki bhadki hui bujha na sake na hili jab zaban nazakat se rah gae dekh kar bula na sake thin jo us mein haya ki kuchh baaten shikwa mera wo lab pe la na sake kya hue tere hausle ai ashk harf-e-taqdir ko mita na sake tha ye khatra kahin pasand na hon galiyan bhi mujhe suna na sake go bahut pas-e-ghair tha lekin aankh hum se bhi wo chura na sake panw chuma kiye hina ki tarah jab koi aur rang la na sake khamushi thi ba-shakl-e-zakhm mujhe lab tak apne sawal aa na sake na mali us ne panw mein mehndi rang apna adu jama na sake iztirab-e-qaza hua ye 'nasim' ki gale bhi use laga na sake