aur kis tarah use koi qaba di jae

aur kis tarah use koi qaba di jae
ek taswir hi patthar pe bana di jae

taki phir koi na parchhain ke pichhe daude
apni basti mein chalo aag laga di jae

khub hai ye meri makhsus tabiat ka ilaj
har tamanna meri kanton pe sula di jae

apni hi zat pe hota hai jo sae ka guman
tirgi shab ki kisi taur badha di jae

hum kisi tarah to imroz ki talkhi samjhen
ahd-e-rafta ki har ek baat bhula di jae

aao dekhen na koi apna shanasa nikle
ajnabi chehron se ye gard hata di jae

dekhne se jise aankhon mein andhera chhaya
kis ko is khwab ki tabir bata di jae

jab muqaddar hai shab-o-roz ki be-kaifi 'saba'
khwab ki tarah har ek yaad bhula di jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close