aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki

aur un aankhon ne mere dil ki haalat zar ki
ho nahin sakti dawa bimar se bimar ki

mohr ki un par zarurat kya hai ai pir-e-mughan
ek ek kham par lagi hai aankh har mai-khwar ki

khair ho ya-rab kahin wo khud na ban jaen raqib
aaine par aaj padti hain nigahen pyar ki

khun kar ke dil hamara phir gai wo mast aankh
ek hi chullu mein niyyat bhar gai mai-khwar ki

did ke talib the musa tur ko thi kya khabar
phunk kar rakh degi bijli jalwa-e-didar ki

jalwa-e-mahbub se khali na dekha dil koi
aaine hain saikdon aur ek surat yar ki

ho subuk-raftar kitni hi nasim-e-subh-dam
aankh khul jati hai phir bhi nargis-e-bimar ki

dukhtar-e-raz ne diye chhinte kuchh aise saqiya
pani pani ho gai tauba har ek mai-khwar ki

kuchh phale-phule na ye nazuk mazamin ai 'jalil'
be-khile murjha gain kaliyan mere gulzar ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close