azm-e-safar se pahle bhi aur KHatm-e-safar se aage bhi

azm-e-safar se pahle bhi aur khatm-e-safar se aage bhi
rahguzar hi rahguzar hai rahguzar se aage bhi

tab-e-nazar to shart hai lekin hadd-e-nazar kyun hail hai
jalwa-fagan to jalwa-fagan hai hadd-e-nazar se aage bhi

subh-e-azal se sham-e-abad tak mere hi dam se raunaq hai
is manzar se us manzar tak us manzar se aage bhi

wahm-o-guman se ilm-o-yaqin tak saikdon nazuk mod aae
ru-e-zamin se shams-o-qamar tak shams-o-qamar se aage bhi

dil se dua nikle to yaqinan bab-e-asar tak pahunchegi
aah jo nikle dil se to pahunche bab-e-asar se aage bhi

dida-e-tar ka ab to 'akhgar' ek hi aalam rahta hai
nala-e-shab se aah-e-sahar tak aah-e-sahar se aage bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close