ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka

ba-qadr-e-paimana-e-takhayyul surur har dil mein hai khudi ka
agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka

bas ek ehsas-e-na-rasai na josh is mein na hosh us ko
junun pe haalat rubudgi ki khirad pe aalam ghunudgi ka

hai ruh tarikiyon mein hairan bujha hua hai charagh-e-manzil
kahin sar-e-rah ye musafir patak na de bojh zindagi ka

khuda ki rahmat pe bhul baithun yahi na mani hai is ke waiz
wo abr ka muntazir khada ho makan jalta ho jab kisi ka

wo lakh jhukwa le sar ko mere magar ye dil ab nahin jhukega
ki kibriyai se bhi ziyaada mizaj nazuk hai bandagi ka

'jamil' hairat mein hai zamana mere taghazzul ki muflisi par
na jazba-e-ijtiba-e-rizwi na kaif 'parwez-shahidi' ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close