bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise

bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise
gum-shuda bete ki muztar koi man ho jaise

us ki mumtaz ki rudad-e-mohabbat likh dun
aise kahta hai koi shah-jahan ho jaise

guftugu mein wo halawat wo amal mein ikhlas
us ki hasti pe farishte ka guman ho jaise

us ki duzdida-nigahi ke hain sab hi ghayal
koi sayyaad liye tir-o-kaman ho jaise

mujh ko urdu-e-mualla nahin aati ab tak
tujh ko ye zoam tere ghar ki zaban ho jaise

hum ko rakhti hai nishane pe siyasat un ki
ghar jalane pe ba-zid barq-e-tapan ho jaise

us ke aate hi sanam-khanon ke but bol uthe
mashriqon mein koi ejaz-e-bayan ho jaise

yun teri zulf ki khushbu hai sar-e-sham udi
kashti-e-fikr yam-e-fan mein rawan ho jaise

tere ashaar utar aate hain 'daem' dil mein
haq-paraston ke liye saut-e-azan ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close