bachpan ka daur ahd-e-jawani mein kho gaya ye amr-e-waqia bhi kahani mein kho gaya lahron mein koi naqsha kahan paedar hai suraj ke baad chand bhi pani mein kho gaya aankhon tak aa saki na kabhi aansuon ki lahr ye qafila bhi naql-e-makani mein kho gaya ab bastiyan hain kis ke taaqub mein raat-din dariya to aap apni rawani mein kho gaya 'tabish' ka kya kahen ki wo zohra-gudaz shakhs aatish-fishan ka phul tha pani mein kho gaya