bachpan mein is daraKHt pe kaisa sitam hua

bachpan mein is darakht pe kaisa sitam hua
jo shakh is ki man thi wahan se qalam hua

munsif ho ya gawah manaenge apni khair
gar faisla ana se meri kuchh bhi kam hua

ek raushni tadap ke ye kahti hai barha
kyun aasman ka nur ghataon mein zam hua

yak-lakht aa ke aaj wo mujh se lipat gaya
jo fasla dilon mein tha ashkon mein zam hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close