badan aur ruh mein jhagda pada hai ki hissa ishq mein kis ka bada hai hujum-e-girya se hun dar-ba-dar main ki ghar mein sar talak pani khada hai bulati hai mujhe diwar-e-duniya jahan har jism inton sa jada hai jhinjhoda hai abhi kis zalzale ne zamin se zindagi sa kya jhada hai faqat aankhen hi aankhen rah gai hain ki sara shahr mitti mein gada hai tumhaara aks hai ya aks-e-duniya tazabzub sa kuchh aankhon mein pada hai main dariya jaan bachata phir raha hun koi sahil mere pichhe pada hai zara si sharm bhi kar farhat-'ehsas' badan tera ajab chikna ghada hai