badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai

badan ke luqma-e-tar ko haram kar liya hai
ki khwan-e-ruh pe jab se taam kar liya hai

batao udti hai bazar-e-jaan mein khak bahut
batao kya hamein apna ghulam kar liya hai

ye aastana-e-hasrat hai hum bhi jaante hain
diya jala diya hai aur salam kar liya hai

makan ujad tha aur la-makan ki khwahish thi
so apne aap se bahar qayam kar liya hai

bas ab tamam ho ye wahm o e'tibar ka khel
bisat ulat di sabhi sara kaam kar liya hai

kisi se khwahish-e-guftar thi magar 'saqib'
wufur-e-shauq mein khud se kalam kar liya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close