badle hue haalat se mayus na hona insan ke jazbaat se mayus na hona ye raat usi ki hai sahar bhi hai usi ki is dard-bhari raat se mayus na hona har dil se udasi ka bharam todte rahna mayus khayalat se mayus na hona mana ki bahut aag hai mahaul mein lekin is mulk ki barsat se mayus na hona duniya se bahut aas lagana nahin ai dost duniya ki kisi baat se mayus na hona kuchh log zara der mein khulte hain kisi se pahli hi mulaqat se mayus na hona aawara sawalat ki manzil bhi hai 'waqif' duniya ke jawabaat se mayus na hona