badr yun to sabhi se milta hai

'badr' yun to sabhi se milta hai
be-gharaz kab kisi se milta hai

khud ko gum kar ke dhundiye us ko
ye guhar be-khudi se milta hai

wo koi ho kahin bhi ho lekin
hu-ba-hu aap hi se milta hai

jaan bhi sath chhod deti hai
ye sabaq zindagi se milta hai

chhanw mein zulf ke dhanak ke rang
saya yun raushni se milta hai

aastan khinch ke khud chala aae
ye sharaf bandagi se milta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close