baham suluk-e-KHas ka ek silsila bhi hai

baham suluk-e-khas ka ek silsila bhi hai
wo kaun sath sath hai lekin juda bhi hai

barg-e-khizan ki zard si tahrir hai magar
dast-e-shafaq mein phul sunahra khila bhi hai

ithar ki dhund mein hain gae mausamon ke naqsh
ek hath pith par hai diya ek jala bhi hai

afkar jaise shakhs barahna nagar ke hain!
alfaz ajnabi ki naya narawa bhi hai

pani mein ek charagh ki lau nam gudaz surkh
pani mein koi aks ajab zard sa bhi hai

ek nashsha! dhup! khwab! shafaq! chandni! sarab
khidki guman ki! samne manzar naya bhi hai

aao banaen kashtiyan kaghaz ki chal ke raaz
purwa chali hai jhum ke baadal utha bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close