bahut mushkil hai dariya par jaana magar hai kufr himmat haar jaana bahut mumkin hai qismat muntazir ho to phir khwabon mein bhi bedar jaana na jaana halqa-e-zulmat mein chahe pade maqtal pas-e-diwar jaana ye kah kar wo chala su-e-shahadat khuda ke pas kya bimar jaana amir-e-shahr ka husn-e-tadabbur raqibon ko bhi apna yar jaana muqaddar tha jo bach aae salamat dil-e-inkar ko iqrar jaana tamanna jit ki ho zindagi mein to har mahfil mein le kar haar jaana agar munsif bana wo khud na hoga ye raaz us ne sar-e-darbar jaana ye paiham muflisi jin ka karam hai unhin ko hum ne palanhaar jaana lab-o-rukhsar par tale pade hain to kya 'khalid' pae didar jaana