bair duniya se qabile se laDai lete

bair duniya se qabile se ladai lete
ek sach ke liye kis kis se burai lete

aable apne hi angaron ke taza hain abhi
log kyun aag hatheli pe parai lete

barf ki tarah december ka safar hota hai
hum use sath na lete to razai lete

kitna manus sa ham-dardon ka ye dard raha
ishq kuchh rog nahin tha jo dawai lete

chand raaton mein hamein dasta hai din mein suraj
sharm aati hai andheron se kamai lete

tum ne jo tod diye khwab hum un ke badle
koi qimat kabhi lete to khudai lete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close