bina-e-ishq hai bas ustuwar karne tak falak ko chain kahan phir ghubar karne tak ye kab kaha ki bharosa nahin hai wade par main ji sakunga tera intizar karne tak khabar na thi wo mujhe qatl karne aaya hai main us ko dost samajhta tha war karne tak phir is ke baad kahan imtiyaz-e-daman-o-dil junun hai shauq faqat ikhtiyar karne tak wo khu-e-ishq basi hai hamari fitrat mein ki sath dete hain hum jaan nisar karne tak kuchh is se pahle hi aa jae meri zist ki sham hayat waqf ho jab din shumar karne tak mere qabile ka 'mohsin' ye qaul-e-faisal hai ki zulm zulm hai sabr ikhtiyar karne tak