bani-e-shahr-e-sitam mazlum kaise ho gaya kal jo mujrim tha wo ab masum kaise ho gaya mohtasib sach sach bata khalwat mein kya sauda hua muddai insaf se mahrum kaise ho gaya tair-e-azad zer-e-dam kaise aa gaya wo khayal-e-muntashir manzum kaise ho gaya kyun sharafat ko himaqat ka diya logon ne nam fitna-e-shar khair se mausum kaise ho gaya kis tarah ahl-e-junun ahl-e-khirad samjhe gae aql ka diwangi mafhum kaise ho gaya mujh se milna to tujhe mushkil tha ai matlab ke yar ab mere ghar ka pata malum kaise ho gaya kya hain asbab-e-zawal-e-muslim-e-ashufta-haal kal jo hakim tha wo ab mahkum kaise ho gaya jo ye kahta tha ki main hun ek nishan-e-la-zawal naqsh-e-fani ki tarah madum kaise ho gaya bol ai taib mita naqsh-e-suwaida kis tarah lauh-e-dil par lafz-e-haq marqum kaise ho gaya qaum ka qaid hai wo jo is ka khidmat-gar hai jis ne khidmat hi na ki makhdum kaise ho gaya bhar diye auham kis ne zehn-e-millat mein 'jalal' chashma-e-ab-e-baqa masmum kaise ho gaya