bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai

bas ek bund thi auraq-e-jaan mein phail gai
zara si baat meri dastan mein phail gai

hawa ne hath badhaya hi tha ki lau meri
tamam shash-jihat-e-jism o jaan mein phail gai

wo khwab tha ki khula tha daricha-e-shab-e-hijr
tere visal ki khushbu makan mein phail gai

jo us ke baad hawa us se be-khabar the sab
hawa ne kuchh na kaha baadban mein phail gai

khula ki wahm tha aab o sarab ki tamiz
pyasi dhup thi aab-e-rawan mein phail gai

main us ke tarz-e-takhatub ka zahr pi to gaya
magar ajib si talkhi zaban mein phail gai

ziyan-nasib shiar-e-wafa sirisht mein hai
ye baat kaise saf-e-dushmanan mein phail gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close