basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai
khuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai

bayan main kya karun us ke shabistan ka ta'al-allah
qaza-o-qadr jis ke jashn ka ab kar-farma hai

sakhawat mein koi ham-sar na ho us ka zamanae mein
wahi karta hai pura jis ke dil mein jo irada hai

khizar ki umr ho us ki tasadduq se aimma ke
nizam-ud-daula aasaf-jah jo sab ka masiha hai

bahi-khwan-e-karam se hai sada ummid 'chanda' ko
kisi ki bhi na ho muhtaj tum se ye tamanna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close