basiraton ka nazar ehtiram karti hai samaaton se khamoshi kalam karti hai khizan ka raaz jo aankhon pe munkashif ho jae to zard rut bhi bahaaron ka kaam karti hai kahan ka zarf kahan ka waqar ye duniya nigah jeb pe rakh kar salam karti hai zaruraten dar-e-shahi pe le ke jati hain meri ana mujhe apna ghulam karti hai hisar-e-sud-o-ziyan se nikal de ya-rab ye zindagi mera jina haram karti hai buland-o-past se parwaz mawara hai meri ye kaenat mujhe zer-e-dam karti hai khuda ka shukr ki main khud se aashna hun 'nadim' meri nigah mera ehtiram karti hai