basti mili makan mile baam-o-dar mile

basti mili makan mile baam-o-dar mile
main dhundhta raha ki kahin koi ghar mile
be-samt kaenat mein kya samt ki talash
bas chal pade hain rah jahan aur jidhar mile
aawargi mein tum bhi kahan tak chaloge sath
pahle bhi raste mein kai ham-safar mile
lagta hai ab ke jaan hi le legi fasl-e-gul
ashkon mein aaj bhi kai lakht-e-jigar mile
shayad guzar raha hun kisi karbala se main
kheme jale hue mile nezon pe sar mile
main chahta hun kat de koi meri ye baat
jitne bade darakht mile be-samar mile
kya hath panw mar rahe ho zamin par
dubo samundaron mein to shayad guhar mile
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close