bayaban dur tak maine sajaya tha

bayaban dur tak main ne sajaya tha
magar wo shahr ke raste se aaya tha

diye ki aarzu ko jab bujhaya tha
phir us ke baad aahat thi na saya tha

use jab dekhne ke baad dekha to
wo khud bhi dil hi dil mein muskuraya tha

dil-o-diwar the ek nam ki zad par
kahin likhkha kahin main ne mitaya tha

hazaron is mein rahne ke liye aae
makan main ne tasawwur mein banaya tha

jahan ne mujh ko pahle hi khabar kar di
kabutar der se paigham laya tha

chale mallah kashti git ummiden
ki jaise sab ko sahil ne bulaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close