bayan-e-haal mufassal nahin hua ab tak jo masala tha wahi hal nahin hua ab tak nahin raha kabhi main is ki dastaras se dur meri nazar se wo ojhal nahin hua ab tak bichhad ke tujh se ye lagta tha tut jaunga khuda ka shukr hai pagal nahin hua ab tak jalae rakkha hai main ne bhi ek charagh-e-umid tumhaara dar bhi muqaffal nahin hua ab tak mujhe tarash raha hai ye kaun barson se mera wajud mukammal nahin hua ab tak daraaz dast-e-tamanna nahin kiya main ne karam tumhaara musalsal nahin hua ab tak baras kuchh aur meri jaan tut ke mujh par ye khitta jism ka jal-thal nahin hua ab tak na aaya baz wo 'nayab' apni fitrat se wafa ka shahr bhi jangal nahin hua ab tak