be-karan dariya hun gham ka aur tughyani mein hun

be-karan dariya hun gham ka aur tughyani mein hun
sab haden hain phir bhi qaem kab se hairani mein hun

shab ki tanhai mein mujh ko aisa lagta hai kabhi
main hun ruh-e-zindagi go paikar-e-fani mein hun

jagmagati mahfil-e-aflak mera aks-e-zat
lau main hun anjum ki main suraj ki tabani mein hun

subh-gahan dasht o gulshan mein nasim-e-narm-mauj
bich dariya ke bhanwar hun aur jaulani mein hun

sham-e-bazm-e-dil-baran hai meri dil-sozi ki zau
main dil-e-ashiq ke khwabon ki gul-afshani mein hun

log kyun is shahr ke itne pareshan-haal hain
main ki khush-dil tha sada ka is pareshani mein hun

main ki hun ek khush-fahm sada-lauh tifl-e-pir-sal
aur phir ziddi bhi hun khush apni nadani mein hun

kya khabar mera safar hai aur kitni dur ka
kaghzi ek naw hun aur tez-rau pani mein hun

husn-e-kul ka aarzu-mand is tunuk-jaani mein hun
mere qad se jo bahut uncha hai us pani mein hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close