betab hain kisi ki nigahen naqab mein hain bijliyan ki kaund rahi hain sahab mein likkhunga khat mein khub adu ki buraiyan ho kar khafa wo kuchh na likhenge jawab mein hum ko hai un ki fikr to un ko adu ki fikr donon hain ek silsila-e-iztirab mein us chhed ke nisar ki sun kar sawal-e-wasl aaina rakh diya mere aage jawab mein yaron main bu-e-mehr-o-mohabbat nahin 'nasim' kya khak ud rahi hai jahan-e-kharab mein