bhar gae zaKHm to kya dard to ab bhi koi hai

bhar gae zakhm to kya dard to ab bhi koi hai
aankh roti hai to rone ka sabab bhi koi hai

pi gai ye meri tanhai mere dil ka lahu
qatra-e-ashk pe ye jashn-e-tarab bhi koi hai

maut se talkh hai shayad teri rahmat ka azab
jis ko kahte hain ghazab aisa ghazab bhi koi hai

roz gulshan mein yahi puchhti phirti hai saba
tere phulon mein mera ghuncha-e-lab bhi koi hai

us ke pahlu se bahut dur mere dil ke qarib
aisa lagta hai ki baitha hua ab bhi koi hai

jo alamat ho tere halqa-e-ushshaq ke bich
tujh se nisbat ke liye aisa laqab bhi koi hai

'shahid' us silsila-e-ishq se wabasta hun
jis mein khud 'mir' sa ek aali-nasab bhi koi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close