bichhad ke tujh se kisi dusre pe marna hai ye tajraba bhi isi zindagi mein karna hai hawa darakhton se kahti hai dukh ke lahje mein abhi mujhe kai sahraon se guzarna hai main manzaron ke ghane-pan se khauf khata hun fana ko dast-e-mohabbat yahan bhi dharna hai talash-e-rizq mein dariya ke panchhiyon ki tarah tamam umr mujhe dubna ubharna hai udasiyon ke khad-o-khal se jo waqif ho ek aise shakhs ko aksar talash karna hai